top of page

Tu Duniya Meri Lyrics Tony Kakkar



Tu Duniya Meri Lyrics


duniya nahi chahiye,

tu duniya meri hamsafar,

jana hai mujhko kahan,

tu hi mera ghar,


sabki hai apni manzilein,

sabka hai apna safar,

hum akele shehar mein,

bhatke hain dar badar,


duniya nahi chahiye,

tu duniya meri hamsafar,


tere haathon pe mehndi,

mere naam ki ho yeh armaan hai,

chahe miley daulaton ka samandar,

humko abb kya karna hai,


tujhse na bichdein kabhi,

lagta hai abb yeh darr,

duniya nahi chahiye,

tu duniya meri hamsafar,



kat jayega yeh safar,

jo humsafar mera hai tu,

yeh soch kar hamko naaz hai,

haan mera mera hai tu,


achhe lagte hain saath hum,

lag jaye na nazar,

duniya nahi chahiye,

tu duniya meri hamsafar,

jaana hai mujhko kahan,

tu hi mera ghar,


sabki hai apni manzilein,

sabka hai apna safar,

hum akele shehar mein,

bhatke hain dar badar,


duniya nahi chahiye,

tu duniya meri hamsafar.

179 views

Related Posts

See All
bottom of page