Kali Kali Zulfon Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan

Aap Iss Tarah Toh Hosh Udaya Na Kijiye, Yu Bann Sanwar Ke Sahmane Aaya Na Kijiye, Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo, Hamein Zinda Rehne...

Aap Iss Tarah Toh Hosh Udaya Na Kijiye,

Yu Bann Sanwar Ke Sahmane Aaya Na Kijiye,

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo,

Hamein Zinda Rehne Do Ae Husan Walo,

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo,

Hamein Zinda Rehne Do Ae Husan Walo,

Na Chedo Hamein Hum Sataye Huye Hain,

Bahut Zakhm Seene Pe Khaye Huye Hain,

Sitamgar Ho Tum Khoob Pehchante Hain,

Tumhari Adaayon Ko Hum Jaante Hain,

Dagabaaz Ho Tum Sitam Dhaane Wale,

Farebe Mohabbat Mein Uljhaane Wale,

Ye Rangeen Kahani Tumhi Ko Mubarak,

Tumhari Jawani Tumhi Ko Mubarak,

Hmari Taraf Se Nigahein Hatalo,

Hamein Zinda Rehne Do Ae Husan Walo,

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo,

Hamein Zinda Rehne Do Ae Husan Walo,

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo,

Hamein Zinda Rehne Do Ae Husan Walo,

Sambhalo Zara Apna Anchal Gulabi,

Dikhao Na Hass Hass Ke Ankhein Sharabi,

Sulook Inka Dunia Mein Acha Nahi Hai,

Haseeno Pe Humko Bharosa Nahi Hai,

Uthate Hain Nazre Toh Girti Hai Bijli,

Adaa Jo Bhi Nikli Qayamat Hi Nikli,

Yahan Tumne Chehre Se Aanchal Hataya,

Wahin Ehle Dil Ko Tamasha Banaya,

Khuda Ke Liye Humpe Dorey Na Dalo,

Hamein Zinda Rehne Do Ae Husan Walo,

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo,

Hamein Zinda Rehne Do Ae Husan Walo,

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo,

Hamein Zinda Rehne Do Ae Husan Walo,

Mast Aankhon Ki Baat Chalti Hai,

Mehkashi Karwatein Badalti Hai,

Bann Sanwar Kar Jab Woh Nikalte Hain,

Dilkashi Sath Sath Chalti Hai,

Haar Jaate Hain Jeetne Wale,

Woh Nazar Aisi Chaal Chalti Hai,

Jab Hatate Hain Rukh Se Zulfon Ko,

Chaand Hasta Hai Raat Dhalti Hai,

Chaand Hasta Hai Raat Dhalti Hai,

Vaadakash Jaam Torh Dete Hain,

Jab Nazar Se Sharab Dhalti Hai,

Kya Kayamat Hain Unki Angrayi,

Khichke Goya Kamaan Chalti Hai,

Yu Haseeno Ki Zulf Lehraye,

Jaise Nagin Koi Matalti Hai,

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo,

Hamein Zinda Rehne Do Ae Husan Walo,

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo,

Hamein Zinda Rehne Do Ae Husan Walo..

We will be happy to hear your thoughts

Leave a reply

Amlisten
Logo