Itni Si Baat Lyrics
itni si baat,
itni si baat ankahee,
yu bayaan ho gayi,
itni si baat dekho na dastaan ho gayi,
na baadal na baarish ajab si woh shab thi,
na dil ki thi saazish na abb hai na tabb thi,
kyun chandni meharbaan ho gayi,
itni si baat dekho na dastaan ho gayi,
itni si baat,
paanv taley zameen hoti hai,
sirr pe bhi ik aasmaan hota hai,
paanv taley zameen hoti hai,
sirr pe bhi ik aasmaan hota hai,
do inch upar chalna zameen se,
aisa hamesha kahan hota hai,
ude toh zameen aasman ho gayi,
itni si baat dekho na dastaan ho gayi,
itni si baat.