Raaste Juda Huye Jab Se Hamare,
Aankhein Intzaar Mein Hain Royi,
Aas Tere Lautne Ki Aaj Bhi Hai Baki,
Raaton Mein Yeh Ek Pal Na Soyi,
Bewafa Tha Agar, Phir Mila Kyun Mujhe,
Zakhm Jhoothi Wafa Ka Diya Kyun Mujhe,
Dard De Ke Woh Farebi Kyu Gaya,
Besahara Kar Gaya, Besahara Kar Gaya,
Ashkon Ki Qaid Mein DIl Hamara Kar Gaya,
Besahara Kar Gaya, Besahara Kar Gaya,
Ashkon Ki Qaid Mein DIl Hamara Kar Gaya..
Jaane Se Pehle Mujhko, Itna Bata Dete,
Dil Bhar Gaya Tha Ya Koi Thi Vajah,
Hoke Praya Hum Toh Khud Ko Mana Lete,
Karte Na Shikwa Koi Tujhse Bewajah,
Din Pareshan Raha Raat Roti Rahi,
Aansuyon Ki Yeh Barsaat Hoti Rahi,
Phir Na Aaya Laut Ke Jo Gaya,
Besahara Kar Gaya, Besahara Kar Gaya,
Ashkon Ki Qaid Mein DIl Hamara Kar Gaya,
Besahara Kar Gaya, Besahara Kar Gaya,
Ashkon Ki Qaid Mein DIl Hamara Kar Gaya..
Toote Hain Bharam Iss Dil Ke,
Gairon Pe Karam Hain Unke,
Dil Toh Hai Mera Behudaa,
Kyun Tune Dard Diya Hai,
Dhokha Mere Sath Kiya Hai,
Tujhko Tha Chaha Bepanaah,
Toote Hain Bharam Iss Dil Ke,
Gairon Pe Karam Hain Unke,
Dil Toh Hai Mera Behudaa,
Kyun Tune Dard Diya Hai,
Dhokha Mere Sath Kiya Hai,
Tujhko Tha Chaha Bepanaah.
"Farebi" by Rishi Singh is a heartfelt track with Rishi Singh's soulful vocals and captivating melody. The heart touching Song Lyrics for Farebi, beautifully captures the bittersweet emotions of missing someone. A musical masterpiece that touches the heart and evokes a deep sense of love and nostalgia.